Tuesday, June 29, 2010

Asar

Yeh mausam ka hai asar ya tumhara
Muskurane ka dil karta hai
Bewajah hi gungunane ka dil karta hai

Mujhe laga main hoon tanha
Tumne aake saara gam bhula diya
Phir zindagi ko rangeen bana diya

Kho gaye tum toh laga sab kho gaya
Par ab phir se woh sama laut aaya
Itne barson baad dikha apna saaya

Dil bachkaani harkat karta hai
Har samay yun machalta hai
Bewajah hi gungunane ka dil karta hai