Monday, September 27, 2010

Naya Ehsaas

Aaj hai ek naya ehsaas
Kuch ankahe ansune se khwab
Itraati hui subah ke saath
Mere mann ne kiya ek aaghaaz

Tumhare liye manzilein chunein
Tumhare saath khwab bunein
Is suhaane safar mein saath chalein
Apne liye hi saare raaste sajein

Jaanam hum har bhawna yun jagayein
Aashaon ke taraane sajayein
Sukh dukh ke fasaane sunayein
Zindagi tere saath khoobsurat banayein

Humsafar mere, mera jeena tumse hai
Meri saanson ka chalne tumse hai
Mere hothon pe muskaan tumse hai
Mera saara jahan tumse hai

Tumhara saath hi ek tamanna
Tumhara pyaar hi ek kaamna
Tumhare liye hi jeena marna
Aur is jeewan mein kya karna?