Monday, February 14, 2011

Chalte Jayein...

(This is my first ever romantic poem; I wrote it when I was 15...and it's still fresh in my memory)

 Chalte jayein anjaani rahon mein
Jahan se laut na sakein kadam
Kho jayein aaj teri bahon mein
Aa bhool jayein duniya ko hum

Apni zindagi ke liye khwab bunein
Ek sunder pyara ghar banayein
Jis ghar mein kewal hum dono rahein
Aa hum aaj sabko bhool jayein

Yahan kyun aur kaise aaye hum
Kuch na humko yaad rahe
Aise komal sapne sajayein hum
Jinmein kewal pyar rahe

Behak jaane dein apne kadam
Pyar ke dariya mein beh jayein
Aa kuch aisa kar dalein hum
Phir kabhi juda na ho payein

Ek dooje mein hum samaa jayein 
Kuch aisa karo mere humdum
Aaye hain yahan toh yahin reh jayein
Tod ke jahan ke saare bandhan

Chalte jayein anjaani rahon mein
Jahan se laut na sakein kadam...