Monday, July 18, 2011

Aaj ki Tanhai...

Aaj ki tanhai...aaj ka gham
Aaj ki raat...aaj ki haar
Aaj ke kisse...aaj ke raaste
Aaj ki yeh doobti shaam...
Na jaane kyun...kal ki yaad dilaaye
Jab jeet thi aaknhon mein
Aur khushi ka tha aalam
Meri zindagi ko churaya kisne
Kahan gaye woh haseen pal
Wapas kar do mere sunder sapne
Koi lauta do mera woh bachpan
Nahin rehna tanha...na jeena aise
Maut hogi na isse behtar