Monday, December 31, 2012

Aakhri Ehsaan

Yeh hai hamara tujhpe aakhri ehsaan
Tune kaha aur humne tujhe bhula diya
Zehan se nikaal phenke tere khayal
Kabhi na milenge tujhe, aaj yeh wada kiya
Na sochenge, na karenge kabhi yeh sawaal
Wafa ka sila tune kyun bewafai se diya


Bhula diya apne dil se tera pyaar
Ab zindagi nagawaar, maut bhi dushwaar
Bas itni hai guzarish humse hamare ashq na chheeno
Tanyahiyon ko humein apne gale lagaane do
Le, kar diya tujhpe humne yeh aakhri ehsaan
Ishq mein aaj de rahein hain apni jaan

 

No comments: